Tum nay bhi sunee yahan kahee gaeein
kaisee kaisee baatein
Tum nay bhi sunay yahan kiye gaey
kaisay kaisay waday
Jhooti theein sab hee yahan kahee gaeein
khushion ki jo baatein
Jhotay thay sab hee yahan kiye gaey
logoan say jo waday
Dharti kay khuda bantay hain yahan
Inn ko bhi zara koi de saza
Muhron ki tarah kabhi chala rahay
hotay hain woh hum ko
Paani ki tarah kabhi baha rahay
hotay hain woh hum ko
Shammon ki tarah kabhi jala rahay
hotay hain woh hum ko
Lamhon ki tarah kabhi gawa rahay
hotay hain woh hum ko
Dharti kay khuda bantay hain yahan
Inn ko bhi zara koi de saza
--guitar solo--
Woh sitamgar hain unhain kya jeeain ya marain
Ho sitam jo bhi ussay hum gawara karein
Woh yehi chahain keh dam hum unhee ka bharain
Hum jhukain aagay unhee kay unhee say darain
Aatay hain sabhi yahan kabhi nahin
jaaein gaey woh jaisay
Kartay hain jafa koi saza nahin
paaein gaey woh jaisay
Unn say yeh kaho chalay gaey
yahan kaisay kaisay aa keh
Dharti kay khuda bantay hain yahan
Inn ko bhi zara koi de saza
Dharti kay Khuda
inn ko do saza
Dharti kay Khuda
inn ko do saza
Dharti kay Khuda
Kartay kay Jafa
Dharti kay Khuda
inn ko do saza
Dharti kay Khuda
inn ko do saza
Dharti kay Khuda
Dharti kay Khuda
yaayee
Dharti Ke Khuda Lyrics performed by Junoon are property and copyright of the authors, artists and labels. You should note that Dharti Ke Khuda Lyrics performed by Junoon is only provided for educational purposes only and if you like the song you should buy the CD