Go To Top

O Duniya Ke Rakhawaale Lyrics

Bhagwaan bhagwaan bhagwaan bhagwaan
O duniya ke rakhwaale
Sun dard bhare mere naale (2)

O duniya ke rakhwaale
Sun dard bhare mere naale (2)

Aash niraash ke do rango se duniya toone banaayi
Naiya sang toofaan banaya milan ke saath judaayi
Ja dekh liya harjaayi
Ho loot gayi mere pyaar ki nagari ab to neer baha le
Ab to neer baha le
Ho ab to neer baha le
O duniya ke rakhwaale
Sun dard bhare mere naale (2)

Aag bani saawan ki barkha phool bane angaare
Naagan ban gayi raat suhaani patthar ban gaye taare
Sab toot chuke hain sahaare
Ho jeevan apna waapas le le jeevan dene waale
O duniya ke rakhwaale

Chand ko dhoondhe paagal sooraj shaam ko dhoondhe savera
Main bhi dhoondhoon uss preetam ko ho na sakaa jo mera
Bhagwaan bhala ho tera
Ho kismat footi aas na tooti paanv mein pad gaye chhaale
O duniya ke rakhwaale

Aaa aaa aaa aaa aaa aaa aaa
Mahal udaas aur galiyaa suni chup chup hain deewaare
Dil kya ujada duniya ujadi, ruth gayi hain bahaare
Hum jeevan kaise gujaare
Ho mandir girtaa fir ban jata dil ko kaun sambhaale
O duniya ke rakhwaale
Sun dard bhare mere naale (2)

O duniya ke rakhwaale, rakhwaale, rakhwaale, rakhwaale, rakhwaale


--ContriButed By Adnan.I.M

O Duniya Ke Rakhawaale Lyrics performed by Mohammed Rafi are property and copyright of the authors, artists and labels. You should note that O Duniya Ke Rakhawaale Lyrics performed by Mohammed Rafi is only provided for educational purposes only and if you like the song you should buy the CD


What is the meaning of O Duniya Ke Rakhawaale lyrics?