zindagi se darte ho (4)
zindagi to tum bhi ho,
zindagi to tum bhi ho, zindagi to ham bhi hain
aadmi se darte ho
aadmi se darte ho aadmi to tum bhi ho
aadmi to tum bhi ho aadmi to ham bhi hain
tum abhi se darte ho
aadmi zubaan bhi hai, aadmi bayaan bhi hai (2)
harf aur maani ke rishte haaye aahan se aadmi hai vaabasta
aadmi ke daaman se zindagi hai vaabasta
is se tum nahi darte ho (2)
ankahi se darte ho
jo abhi aai nahi us ghari ki ahmad ki agahi se darte ho
Tum Abhi Se darte ho
pahle bhi to guzare hain
pahle bhi to guzare hain ,daur naarasai ke, beriyaa, khudaai ke
phir bhi ye samajhte ho,
pahle bhi to guzare hain ,daur naarasai ke, beriyaa, khudaai ke
phir bhi ye samajhte ho,
phir bhi ye samajhte ho, hech aazaruumandi
ye shab zubaan'bandi, hai rahe khudaabandi
tum yahi samajhte ho,
Tum magar ye kya jano
lab agar nahi hilte ,hath jaag uth'te hain
haath bol uth'te hain subah ki azaan ban kar
roshani se darte ho
roshani to tum bhi ho, roshani to ham bhi hain
Tum Abhi se darte ho
raah'e shauq mein jaise raah'roh khoon lapke
ik naya junun lapke (2)
aadmi chalak uthe
aadmi hanse dekho, shahar phir base dekho
tum abhi se darte ho(4)
Darte Ho Lyrics performed by Indian Ocean are property and copyright of the authors, artists and labels. You should note that Darte Ho Lyrics performed by Indian Ocean is only provided for educational purposes only and if you like the song you should buy the CD